Motivational speaker Vivek Bindra in dino kaafi charcha mein hai jiski wajah hai doosre motivational speaker Sandeep Maheshwari ke saath unka vivad aur patni ke saath maarpeet ke aarop. Lekin Vivek Bindra aakhir hai kaun, yeh kaise charcha mein aaye aur kahan se unhone shuruaat ki, chaliye jaante hain.
Vivek Bindra apne parichay mein khud ko Motivational Speaker, Leadership Consultant, aur Business Coach batate hain. Vivek Bindra ek company Bada business private limited, uske CEO bhi hain. Aaj unhi Vivek Bindra ki kahani ko jaante hain.
Dr. Vivek Bindra ka janm 5 April 1978 ko Lucknow mein hua. Vivek jab dhai saal ke the, tabhi unke pitaji ki maut ho gayi. Maa ne doosri shaadi kar li, bachpan rishtedaron ke paas beeta. Phir Delhi aa gaye aur Saint Xavier’s se 10th aur 12th ki padhai ki. School ke samay se hi part-time business bhi shuru kar diya tha. 16-17 saal ki umar mein colony mein bachchon ko tuition padhane lage the, footpath par dictionary bhi bechi.
Writer Shiv Khera ki motivational kitab “You Can Win” se Vivek Bindra kaafi prabhavit rahe. Isse padhkar unhone faisla kiya ki business aur inspiration ke field mein hi kuch karna hai. Games se bhi unhe kaafi inspiration milti rahi. Haarne ke baad dobara uth khade hone ki kshamata se kaafi prerit the Vivek.
2001 mein Saint Xavier’s College Delhi se BBA ki degree hasil ki, aur BBA ke baad London ki University of East London Business School mein admission mila. Lekin paison ki tangi ki wajah se nahi jaa paaye. Phir MT College Noida se 2005 mein MBA kiya. Unhone dekha ki unke jaise aur log bhi is tarah se pareshan hain, aur isse hi unhone aage jaakar apna mission banaya.
Padhai ke dauran 2004 mein unke professor ne unhe padhne ke liye Bhagavad Gita di. Wo usse kaafi prabhavit hue. Vivek Bindra khud bhi Gita ka unke jeevan par asar maante hain. Padhai ke baad Vivek ne sanyaas wala jeevan apna liya, aur iskcon chale gaye 4 saal tak brahmachari jeevan jiya bhiksha maangi, seva ki aur shiksha li.
Is dauran ek aur raasta mila, woh kai corporate houses mein jaakar Gita par lecture dene lage apne guru ki salah par sansarik duniya mein lautte aur logon ki madad ka dava kiya, phir aaya business wala role 2012 mein.
Vivek ne “Global Act” naam se apni company shuru ki, lekin April 2019 mein Vivek ne iska naam badal kar rakh diya “Bada Business Private Limited.” Vivek khud is company ke CEO hain. Duniya bhar mein is company ke clients bataye jaate hain, lagbhag 100 se adhik CEOs ko Vivek coaching dene ka dava bhi karte hain.
2019 mein hi unhe Economic Times se “Game Changer of the Year” ka khitaab bhi mila. Vivek Bindra bade-bade leaders aur celebrities ke saath bhi nazar aate hain. Vivek apne YouTube channel par 1 million subscribers hain, jabki unhone ab tak apne channel par 1000 se adhik videos post kar chuke hain. Iske alawa, achhi khaasi following hai.
Yeh to raha unka parichay, lekin Vivek Bindra ka vivadon se bhi gehra naata raha hai. Chaliye woh bhi jaan lete hain.
Sandeep Maheshwari ne apne YouTube channel par 1 December ko “Big Scam Exposed” naam se ek video daala. Video mein Sandeep Maheshwari do ladkon se baat karte dikhate hain, keh rahe hain ki dono ladke ne ek bade YouTube ka course khareeda tha, lekin koi faayda nahi hua. Wo businessman ki jagah salesman bana rahe hain.
Iske agle din Sandeep Maheshwari ne apne YouTube par ek post mein kaha ki unpar woh video hataane ka dabaav daala ja raha hai, lekin wo video nahi hataayenge. Ek aur post mein Sandeep ne aarop lagate hue kaha ki Vivek Bindra ne unki legal team ko dhamki di aur unke ghar apne karmachariyon ko bheja.
Is vivad mein Vivek Bindra ne kaha ki woh ek baar Sandeep Maheshwari ke show mein aa chuke hain, aur dobara bhi show mein aane ko tayyar hain. Vivek Bindra ne Sandeep Maheshwari ko samne bethkr discuss krne ki khuli chunauti bhi di.
Dusra vivaad 22 December 2023 ko khabar aayi ki Vivek Bindra ke khilaaf Gautam Buddha Nagar mein FIR darj ki gayi hai. 9 December ko Vivek Bindra ke khilaaf unke saale Vaibhav Quatra ne Gautam Buddha Nagar ke Sector 126 thane mein shikayat di. Aarop lagaya gaya ki Vivek Bindra ne patni ke saath gaali-galoch kar kaafi maarpeet ki.
Shikayat ke baad Vivek Bindra ke khilaaf 14 December ko FIR darj ki gayi. Shikayatkarta ke mutabiq unki behan Yanika ki shaadi 6 December 2023 ko Vivek se hui thi. Agale din 7 December ki subah Vivek Bindra ki apni maa se bahas ho rahi thi, aur is dauran unki patni ne jab beech bachaav kiya to Vivek ne unke saath maarpeet ki.
Yeh tha Vivek Bindra ka ek chhota sa parichay aur ek chhoti si kahani unke safar ki.